Wednesday, November 24, 2010

college masti - ver 2.0

sum more reminders of our golden days... :)


1 . After exam

'yeh bhi syllabus mein tha kya?'
'achha !!! ye aise hota hai kya?'
'ye subject ka reference book kaun sa hai'
'1st mein 3 marks.....2nd mein 0.......3rd mein 2....... Gaya ..........fail pakka....... lag gai is bar'
'yaar notice lagte hi faad dena........wo kya soochegi mere marks dekh kar......'



2 . VIVA (b4 exam)

'submission ab tak hua nahi hai , VIVA kya ghanta doonga'
'aeee......Harshit.....terese kya poocha.......'
'xternal ke ghar mein bacche nahin hai kya.......'
'dekh boss!! external bhi aadmi hai. Usko pata hai students ki ab tak preparation nahi hui hai'



3 . Submission

'ye bhi chhapna hai kya?'
'iska bhi print-out lena hai kya?'
'jai ho computer baba ki......jai ho Ctrl C - Ctrl V  ki.......'
'tujhe Sir ka sign aata hai kya?'



4 . A convo:

'Ye tune kya likha hai????'
'jo word samajh mein aa raha hai woh likh, jo nahi samajh mein aa raha hai uska drawing nikal'
'phir bhi, kuch to idea hoga??'
'maine uska likha hai, mera assignment check ho gaya , tu bhi wohi kar.'
'koi hint........'
'arre baba ghasit de........na tu samjega na wo........'



5. Exam

'jo mujhe aata hai, woh paper mein aata nahi hai; jo nahi aata hai woh aata hai'
'ye question 2 saal se nahi poochha hai'
'ye last time hi poochha thaa'
'xternal me aane k pure chance hai....... '
'is paper mein roll number ka kya order hai........'
'pichle paper mein to kuch to aata tha.......issmein to anda aata hai......'
'ek aur din ka gap de dete to kya 3rd World War ho jati ........'


 

"bas ek bar wapas lautne ka mann karta hai .......................
Aaj har wo baat yaad aati hai ..................................
kuch buri batein jo ab achi lagti hain ........................
kuch batein jo kal ki hi batein lagti hain .....................
abki baar class attend karne ka mann karta hai ..................
dopahar ki class mein aakhen band krne ka man karta hai .......
exam ke time ki wo hasi mazak bahut pyari lagti hai ............
tab ki bekar lagne wali photos chehre pe hasi laati hai .......
Apni galtiyon pe tumse daat khana yaad aata hai ................
Par tumhari galti dekhne ka man karta hai ......................
Aaj tum bahut yaad aate ho  ....................................
Ek aisi subah uthne ka man karta hai............................
bas ek bar wapas lautne ka man karta hai........................"


ultimate 4 yrs of life...UNFORGETTABLE, MEMORABLE

Tuesday, November 23, 2010

college masti - ver 1.0

These words remind us of our college days.... years of non-stop masti... day after day... :) :)

1. On being Late

'Kab chalu hua?'
'Attendance ho gayi kya??'
'Ab nind nahi khuli to mein kya karu......... bolna ....... kal kya padhaya tha sir ne'
'Kal se pakka time pe class karunga'
'Ek page de na.......... abe pen bhi to de.......'
'Kal proxy mara tha kya'
'Yaar iss class ke liye koi subah kaise aa sakta hai........'

2. During the lecture

'Yesss!!!! Sir.......The answer is .....huuuummmmm.......aaaaaaaa............'
'No sir.....I know the answer ......sir....'
'Saala apne aapko Newton samajta hai'
'Abe lecture ko chhod.....Anjali kya lag rahi hai aaj........'(my favourite... :P )
'Uske bagal mein nahi baith sakta tha.......gadhe.......'
'mera assignment tere paas hai??'
'Heads, we go to canteen , Tails, we go canteen now!!!'

 
3. Lab

'Expt. 2 likha??'
'Idhar Karna kya hai??'
'Yeh bhai.....mereko aata to tere pass kyon aata........'
'Areee tu to bura maan gaya .......values dikha na.........'

 
4. Unit Test

'Unit test???? ......Aree yaar...... '
'Kya...... abe unit test mein itna topic hai to end-semester mein kya hoga....'
'Boss..... hogaya......aur nahi ho sakta........jaan nahi de sakta.......'
'Oh !!! Itna syllabus cover ho gaya ?'
'Aaj kounsa test hai?'
'Oye Sanjeev kaha hai......uska roll number mere baad hai.......wo nahi aaya to mein pakka fail....'
After test......
'yaar padha tha....recall nahi kar paya.......chhod na ....... Canteen chalega...'

 
5. Late submission of assignments

'Maine usko bola tha ki copy karke mera assgnment bhi saath mein submit kar dena'
'mujhe last date nai pta thi...'
'Ab mein kya karu wo mere ko bole bina hi submit kar diya.......'
'XEROX allow karna chaiye yar.......'

njoy until sum more to cum later.... :) :)